Bachpan wala Zamaana

Smaa kitna suhana tha, mausam har ek diwana tha
naa zaat maante na hi dharam, na gair koi kbhi pehchana tha
ladte-bhidte aur rote-manaate, mil baant ke mithayi  khaana tha
kyu wapis nahi aata wo, jo bachapan wala zamaana tha..!!

Na hoti chinta ghar ki thi, aur baat baat pe hasi khilti thi
kahi pe jaa maang lete, jaha bhi roti milti thi
koi lafz tariff ke kr jo deta to muh chupa sharmanaa tha
kyu wapis nahi aata wo, jo bachapan wala zamaana tha..!!

Nirmal mann mein khyal ajeeb, na hum ameer na koi gareeb
manaate mitha ho jaate, chahe daant pe behte khaare neer
chiz koi na milne par, muh bnake rosh dikhlana tha
kyu wapis nahi aata wo, jo bachapan wala zamaana tha..!!

unch-neech ka papda, yaa hota lukan-chupayi ka khel
ek awaaz aati almast yaar ki, le balla nikal chlta mel
aur jhgda krke ghr ko anaa, fir saara haal ro sunanaa tha
kyu wapis nahi aata wo, jo bachapan wala zamaana tha..!!

Kya din niklta jugaad bnaate, kaise kakshaa ko nahi hai jaana
jab pet dard ka jutha naatak, aur bahaane bahaane ansu banana
khud hi hasi aane par, jhatt chaddar mein muh chupana tha
kyu wapis nahi aata wo, jo bachapan wala zamaana tha..!!

Mandir jaate mazaar se ho aate, gurdwara bhi humko pyara tha
bhedbhav hota kya yeh bhed pta nahi, koi dwaar kbhi na nakaara tha
bhag bhag sbse aage baithna aur, pehle parshaad khaana tha
kyu wapis nahi aata wo, jo bachapan wala zamaana tha..!!

Sab badal gya sab bikhar gya, hum ban baithe bs ab chor hai
na mann hai saaf, na zubaan mein mithas, bilkul hi kamzor hai
vigyaan ke bhogo mein fas kar, dur se salaam thukwana ho gya
Kaash wapis hi aa jata wo, jo bachapan wala zamaana tha..!!

50

Leave a comment

11 Comments

  1. Bhaiya, aapne toh bachpan ki yaad dila di, kitnnii saari memories likhi aapne, this is toooo cute! ☺☺
    Sachhi, childhood kitna achha tha na, koi tensions nai hoti thi kisi bhi cheez ki, ab toh it won’t come back. 😐

    Liked by 1 person

    Reply
    • haa wo time aisa tha ki bs ab yaad krte hai to dil machal uthataa hai ki kash wapis wo time aa jaye. kisi bhi frn ke ghr jaake khane baith jaana, kbhi alag ni smjhna aur na sharm na koi frk krna. aur school naa jane ke bahaane bnana kya khubsurta tha yeh sb. aur ab bs watsapp facebook jaise sites se hi frnship reh gyi jaisa ki likhne ki koshih ki meine

      “Sab badal gya sab bikhar gya, hum ban baithe bs ab chor hai
      na mann hai saaf, na zubaan mein mithas, bilkul hi kamzor hai
      vigyaan ke bhogo mein fas kar, dur se salaam thukwana ho gya
      Kaash wapis hi aa jata wo, jo bachapan wala zamaana tha..!!”

      Vigyaan ke bhogo mein fas kar means yeh sb socila sites mein fas kr reh gye hum.

      Thanks apko acha lga. kal bhi kuch likha tha time lge dekhna and btana.

      Liked by 1 person

      Reply
      • Arey waah, abi I understood properly. Sahi hai, aajkal koi face to face baat kaha hoti hai, bas Facebook hi hai life me. 😕

        Haa mai read karti hu kal wala bhi 😅😅

        Liked by 1 person

  2. This is really sweet. So many memories. 🙂

    Liked by 1 person

    Reply
  3. What a splendid way to revive childhood memories…. keep it up man….

    Liked by 1 person

    Reply

Leave a comment